Tuesday, March 22, 2011

zindagi hai pattey ki tarah

Trying my hand at hindi poetry for the first time.... :P

yeh zindagi hai pattey ki tarah,
hawa na ura le jaye, dekho zara
jis tehni pey hai leh raha rahi,
uska daaman na chhootey dekho zara.

thandi tez hawa chali lubhaney,
aur mohh mey patta bhi chatpatane laga,
rookhi sookhi tehni mey kya hai rakha,
socha nayi zindagi dekhu toh zara.

phir chorh diya jab us tehni ka aanchal,
aur tez hawa mey mast behney laga,
na koi bandish, na khushi ki seema,
na kisi ki chinta, na khayal zara.

phir tabhi hawa ka rukh badla,
aur diwaar se takra tab patta gira,
besahara, tarapta aakhir ye ehsaas kara,
kyu na rakha astitva ka mol zara

yeh zindagi hai pattey ki tarah,
hawa na ura le jaye, dekho zara,
jis tehni pey hai leh raha rahi,
uska daaman na chhootey dekho zara.