Saturday, June 6, 2015

Faraar!

Khud se hee faraar, ab hona chaahtu hu,
har gam ko inkaar, ab karna chaahta hu,
dil mey chhupey se ye jo armaan hai,
un sabko mehsoos, ab karna chaahta hu.

Phir kaisi hai ye dor, jo rok deti hai,
kaunsi hai woh aawaaz, jo tok deti hai,
aur chalta rehta hu main is raah par,
ye raah, jo khud mey mujhko kho deti hai.

Is dor ko tor, us aawaaz ko nazarandaaz,
khud se hee faraar, ab hona chaahtu hu.